★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
~¤ Shab-e-Bara'at ka bayaan ) ¤~ Shabe-bara'at behad Ahem raat hai kisi surat se bhi isse ga - Ibadat amal Discussions on

~¤ Shab-e-Bara'at ka bayaan ) ¤~ Shabe-bara'at behad Ahem raat hai kisi surat se bhi isse ga

edited May 2017 in Ibadat amal

~¤ Shab-e-Bara'at ka bayaan (Part->1) ¤~

Shabe-bara'at behad Ahem raat hai
kisi surat se bhi isse gaflat me na guzara jaye
Iss raat "ALLAH" ki rehmaton ki baarish hoti hai
iss mubarak raat me "ALLAH" bahut badi taadat me logon ko jahannam se azaad farmata hai

Magar kuch bad-naseeb logon ki iss raat bhi bakshish nahi hoti

1-Sharab ka aadi
2-Maa-Baap ka na-farman
3-Zina {Unlawful sex} karne wala
(kisi aurat/Aadmi ko buri nazar se dekhna bhi Zina hai)
4-Rishtadaaron-doston se talluk khatm karne wala
5-Tasveer banane wala
6-chugli karne wala
7-Shirk karne wala
8-kisi musalman se jalan rakhne wale
9-Takabbur (Attitude) se saath takno ke neeche tak kapda latkane wale
10-Qatil (Killer)
13-Jadugar
yeh log is raat bhi magfirat se mehrum hi reh jate hain

(shortened from Book-
Aaqa ﷺ ka Mahina,pg no 9-11)

Toh har musalman ko chahiye agar in gunaahon mein se kisi gunaah me mubtila ho toh uss gunaah aur har gunaah se Shabe-Bara'at aane se pehle balki aaj aur abhi sacchi tauba karle

Aur kisi se rishta tod diya ho toh jod lein aur sab se muafi bhi maang lein ki jaane anjaane kisi ka dil-dukhaya ho,gheebat,chugli ki ho...

Aur jo Log mujhe Jante hain unse Haath Jodkar Meri Madani Ilteja hai ki agar jaane aanjane koi galti hui ho aapka dil dukha ho toh Allah ki Riza ke liye mujhe Aap muaf farmayein !

Allah-aapko-iski-behtarin-jaza-ata-farmaye Aapki Jaiz duaon ko qubul farmaye

جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)
~●~●~●~●~

"Namaz Pado Isse pehle Tumhari Namaz (Janaza) padayi Jaye !"

Please Share if Possible...

~¤ Shab-e-Bara'at ka bayaan (Part->2) ¤~

Riwayat ke mutabik: 
1)-“Allah Ta’ala Shabaan ki (15vi) raat ko dunya par nazul farmata hai aur Bani-kalb ki Bakrion (goats) ke baalon ki tadad se ziyada gunah garoon ki bakhshish farmata
hai.”
(Tirmizi Shareef, Ibn-E-Maja)

2)-“Jab Shabaan ki (15vi) raat aati hai to Allah Ta’ala ki tarf se aik elaan karne wala ye elaan karta hai k,
"hai koi Bakhshish ka talabgar ke
main usey baksh doon,
hai koi sawal karne wala ke mein is ka sawal pura karoon ???”
(Behaqi)

3)-Sarkar-E-Do Aalam ﷺ ne Sayyedah Ayesha Siddiqa ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨها ko mukhatib kar ke farmaya:
“Kya tumhein maloom hai ki Shabaan ki iss (15vi) raat me kya hota hai ?

Aap ﷺ ne farmaya:
“Is raat main iss saal jitney paida hone wale hain likh diye jate hain aur ishi raat main tamam bandon ke (saal bhar ke) aamal uthaye
jate hain aur raat me logon ki rozi utarti hai...”
(Behaqi)

~¤ Bara-e-karam Zaroor padhein ¤~

Nabi-e-Kareem

 ﷺ Ne Farmaya:

“Rajab Aur Ramzaan Ke Beech Yeh
Mahina (Shabaan) Hai Log IsSe Ghafil Hai,
Is Me Logon Ke Amaal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaaye Jaate Hai Aur Mujhe Yeh Mehboob Hai Ki Mera Amaal Iss Haal Me Uthaaya Jaaye Ki Me Rozedaar Hoon..."
-: (Nisai Sharif, Jild 4, Saafa 200)

Toh mere pyaare bhaiyon Hamare Aaqa Madine wale Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ki pyaari sunnat hai ki Shab-e-Baraat se pehle wale din Aap صلی اللہ علیہ وسلم Roza rakha karte the humein bhi chahiye is par Amal karte hue ho sake toh "22nd May" ka Roza Zaroor ba Zaroor Rakhein...

جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)
~●~●~●~●~

~¤ Shab-e-Bara'at ka bayaan (Part->2) ¤~

Riwayat ke mutabik: 
1)-“Allah Ta’ala Shabaan ki (15vi) raat ko dunya par nazul farmata hai aur Bani-kalb ki Bakrion (goats) ke baalon ki tadad se ziyada gunah garoon ki bakhshish farmata
hai.”
(Tirmizi Shareef, Ibn-E-Maja)

2)-“Jab Shabaan ki (15vi) raat aati hai to Allah Ta’ala ki tarf se aik elaan karne wala ye elaan karta hai k,
"hai koi Bakhshish ka talabgar ke
main usey baksh doon,
hai koi sawal karne wala ke mein is ka sawal pura karoon ???”
(Behaqi)

3)-Sarkar-E-Do Aalam ﷺ ne Sayyedah Ayesha Siddiqa ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨها ko mukhatib kar ke farmaya:
“Kya tumhein maloom hai ki Shabaan ki iss (15vi) raat me kya hota hai ?

Aap ﷺ ne farmaya:
“Is raat main iss saal jitney paida hone wale hain likh diye jate hain aur ishi raat main tamam bandon ke (saal bhar ke) aamal uthaye
jate hain aur raat me logon ki rozi utarti hai...”
(Behaqi)

~¤ Bara-e-karam Zaroor padhein ¤~

Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Farmaya:

“Rajab Aur Ramzaan Ke Beech Yeh
Mahina (Shabaan) Hai Log IsSe Ghafil Hai,
Is Me Logon Ke Amaal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaaye Jaate Hai Aur Mujhe Yeh Mehboob Hai Ki Mera Amaal Iss Haal Me Uthaaya Jaaye Ki Me Rozedaar Hoon..."
-: (Nisai Sharif, Jild 4, Saafa 200)

Toh mere pyaare bhaiyon Hamare Aaqa Madine wale Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ki pyaari sunnat hai ki Shab-e-Baraat se pehle wale din Aap صلی اللہ علیہ وسلم Roza rakha karte the humein bhi chahiye is par Amal karte hue ho sake toh "22nd May" ka Roza Zaroor ba Zaroor Rakhein...

جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)
~●~●~●~●~


~¤ Shab-e-Bara'at ka bayaan (Part->3) ¤~

~¤ Saal bhar jaadu se salamati ¤~

"Agar Iss Raat (yaani Shab-e-bara'at ki raat) Saath (7) Patte (Leafs)
Beri (yaani Ber ke jhaad ke patte) ko Pani me Josh dekar (Garam kar ke) Ghusl karein
ان شا ء الله العز يز
tamam Saal Jadu ke Asr se mehfuz rahega..."

(Reference Book-Islami Zindagi,Page no.134, By Dawat-E-Islami)

~@ Shab-e-Bara'at ki Nafil Namaz @~

Parso yaani 22nd May ki Namaz-e-Magrib padhne ke baad 6 rakat nafil 2-2 kar ke padhen

1)->Pehli 2 rakat me niyat hogi,
"Ya Allah in 2 rakat ki barkat se Mujhe Dara-ziye Umar bil khair ata farma"

2)->Dusri 2 me niyat ho
"Ya Allah balaon se meri hifazat varna"

3)->Teesri 2 me niyat ho
"Ya Allah Mujhe apne siwa kisi aur ka mohtaj na bana"

Har rakat me Surah fatiha ke baad 3-3 baar Surah Ikhlas padhna behtar hai waise koi bhi surah padh sakte hain.

Har 2 rakat puri hone ke baad Ek baar Surah Yaseen Sharif padhein ya phir 21 baar Surah ikhlas padhein.

Har bar Yaseen sharif ke baad 'Dua-e-nisf-e-Shabaan' bhi padhiye...

(Shortened from Aaqa ﷺ ka Mahina,Pg no.15)

~@ Qabristan me hazri @~

Jab bhi kisi ki qabr par jaye to mustahab hai ghar se 2 rakat nafl namaz padh le, dono rakat me surah fatiha ke baad 1 bar ayatul kursi aur 3 bar surah ikhlas pade aur us ka sawab us sahebe qabr ko pohchaye.

Qabristan jaate huwe raste me fuzool baate na kare.

Qabr ke pass is tarah khade ho ke humari peet kaabe ki taraf ho aur humara muh qabr walo ke chehre ki taraf ho.

Qabr ke upar agarbatti na jalai is se mayyat ko takleef hoti hai, haa agar khushbu pohchana ho to qabr ke aas pass khali jagah par lagaye.

Kuch log dabbe bhar bhar ke qabro pe pani dalte hai ye bhi naa kare
Mayyat ko dafnane ke baad pani dalne ke alawa pani dalna israaf me shamil hota hai.

~¤ Zara dhyan dein ¤~

Mere pyaare bhai kya aap kabhi bhi yeh pasand karenge ki aapki wajah se kisi ki bakshish honi ruk jaaye ???

Main toh kabhi nahi chahunga ki Meri wajah se kisi ki bakshish ke Muamlat hon Ishiliye Jis kisine

*Mera dil dukhaya ho
*Meri Gheebat ki ho
*Meri Chugli ki ho
*Mujhse Vaada Khilafi
*Meri Haq talafi ki ho
Ya
*Mere liye Kina (jalan) rakhi ho

Maine الله عزوجل ki Riza ke liye uss Insaan ko muaf kiya (Jis kisi ko block kiya tha kabhi bhi kisi bhi wajah se sab ko Unblock karne ki niyat hai)

Aapse bhi meri Azizana aur haath jodkar darkhast hai ki aap bhi mujhe please الله عزوجل ki Riza ke liye Shab-e-Ba'raat se pehle-pehle muaf kardein waise hi bahot gunaah hain please muaf farma kar Mujhpar Meherbani karein

Allah Aapko salamat rakhein, Jannat mein Aala makam ata farmaye aur aapki saari jaiz duaein qubul farmaye !

جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)
~●~●~●~●~

~¤ Shab-e-Bara'at ka bayaan (Part->4) ¤~

~@ Reminder ! @~

Pyaare bhai kal Shaban ki 14 tarikh ka din aur parso 15vi Shaban ka din hai
Iss din Roza rakhna Hamare Pyaare Aaqa ﷺ ki Pyaari SUNNAT hai humein bhi chahiye ki kal ka Roza zaroor Rakhein...

Sarkar-E-Do Aalam ﷺ ne farmaya,

“Is raat main iss saal jitney paida hone wale hain likh diye jate hain aur ishi raat main tamam bandon ke (saal bhar ke) aamal uthaye jate hain aur raat me logon ki rozi utarti hai...”

Tagged:

Comments

Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|