★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Musafa Karne Ka Sunnati Tarika - Mas'la Masayel Discussions on

Musafa Karne Ka Sunnati Tarika

edited April 2016 in Mas'la Masayel
Rasoolullah Sallahu Alaihi Wasallam Se Le Kar Sahaba, Tabain Aur Tabe-Tabain Aur Jamhoor Musalmano Ka Yahi Maslak Hai Musafa Dono (2) Hantho Se Karna Sunnat Hai…


Dalail Ke Roshni Me Imam Bukhari رحمة الله عليهimahullah Ne Mustaqil Musafa Ka Baab Bandha Aur Isspar 2 Riwayat Naqal Ki Ek Riwayat Me Musafa Ko Sunnat Qarar Diya Dusri Marfoan Riwayat Me Dono(2) Hatho Se Musafa Karneko Sunnat Bataya Gaya Aur Ek Tabe-Tabain Ke Amal Ko Batlaya Gaya…..

DALEEL NO. 1

ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻋَﻤْﺮُﻭ ﺑْﻦُ ﻋَﺎﺻِﻢٍ، ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻫَﻤَّﺎﻡٌ، ﻋَﻦْ ﻗَﺘَﺎﺩَﺓَ، ﻗَﺎﻝَ ﻗُﻠْﺖُ ﻷَﻧَﺲٍ ﺃَﻛَﺎﻧَﺖِ ﺍﻟْﻤُﺼَﺎﻓَﺤَﺔُ ﻓِﻲ ﺃَﺻْﺤَﺎﺏِ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗَﺎﻝَ ﻧَﻌَﻢْ.

SANAD:
Umar Bin Aasim –> Hamam –> Qatadah –> Anas Bin Malik (رضي الله عنه)

MATAN:
Qatadah رحمة الله عليه Ne Hazrat Anas رضي الله عنه Se Pucha Kya Musafe Ka Dastur Nabi Karim ﷺ Ke Sahaba رضي الله عنه Me Tha To Unhone Jawaab diya Ji haan…
[Sahih Bukhari, Jild 2, Safa: 926, Hd.no: 6263, Kitabal Istezan(ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻻﺳﺘﺌﺬﺍﻥ), Baab Musafah]

Note: Iss Hadees Se Sabit Hota Hai Ke Musafah Sunnat Hai Aur Dono Hathon Se Karneki Daleel Aghe Aarahe Hai…

DALEEL NO. 2

ﻭﻗﺎﻝ ﺍﺑﻦ ﻣﺴﻌﻮﺩ: ‏« ﻋﻠﻤﻨﻲ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﺍﻟﺘﺸﻬﺪ، ﻭﻛﻔﻲ ﺑﻴﻦ ﻛﻔﻴﻪ‏» ﻭﻗﺎﻝ ﻛﻌﺐ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ: ‏«ﺩﺧﻠﺖ ﺍﻟﻤﺴﺠﺪ، ﻓﺈﺫﺍ ﺑﺮﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ، ﻓﻘﺎﻡ ﺇﻟﻲ ﻃﻠﺤﺔ ﺑﻦ ﻋﺒﻴﺪ
ﺍﻟﻠﻪ ﻳﻬﺮﻭﻝ ﺣﺘﻰ ﺻﺎﻓﺤﻨﻲ ﻭﻫﻨﺄﻧﻲ »

Hazrat Ibn Masood رضي الله عنه Farmate hai Ke Muhje Nabi Kareem.ﷺ Ne Tashawud sikhaya To Meri Dono Hatheli Nabi Karim ﷺ ki Dono
Hatheliyo Ke Darmiyan Thi Aur Kaab Bin Malik Rz Ne Bayan Kiya Ke Main Masjid Me Dakhil Huwa To Waha Nabi Karim ﷺ Tashrif Farma The Talha Bin Abdullah Rz Badi Tezi Se Meri Taraf Aaaye Aur Tauba Qubul Hone Par Mujhe Mubarak Baad Di…
[Sahih Bukhari, Jild 2, Safa 926, ﺑﺎﺏ ﺍﻷَﺧْﺬِ ﺑِﺎﻟْﻴَﺪَﻳْﻦ:Baab Do Hath Se Musafah, Kitabal Istezan(ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻻﺳﺘﺌﺬﺍﻥ), Hd.no: 6265]

DALEEL NO. 3


ﻭَﺻَﺎﻓَﺢَ ﺣَﻤَّﺎﺩُ ﺑْﻦُ ﺯَﻳْﺪٍ ﺍﺑْﻦَ ﺍﻟْﻤُﺒَﺎﺭَﻙِ ﺑِﻴَﺪَﻳْﻪِ .

Hammad Bin Zaid (رحمة الله عليه) Ne (Abdullah) Ibn Mubarak(رحمة الله عليه) se Dono Hatho Se Musafa Kiya..
[Sahih Bukhari, Jild 2, Safa 926 ﺑﺎﺏ ﺍﻷَﺧْﺬِ ﺑِﺎﻟْﻴَﺪَﻳْﻦ Baab Do Hatho Se Musafah, (ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻻﺳﺘﺌﺬﺍﻥ), Kitabal Istezan]




Note: Musafa Ke Waqt hantho Ko pakadne Izhar e Muhabbat Hai Iske Liye Imam Bukhari رحمة الله عليه Ne Batur Ek Dalil Ke Tabe Tabaii Ka Amal Pesh kiye..
ﻭﺻﺎﻓﺢ ﺣﻤٌﺎﺩﺑﻦ ﺯﻳﺪ ﺍﺑﻦ ﻣﺒﺎﺭﻙ ﺑﻴﺪﻳﻪ

Yani Hammad Bin Zaid Ne Ibn Mubarak Se Dono (2) hanth se musafah kiya…

DALEEL NO. 4

Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Nabi Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Jab Do Musalman Mulaqat Karte Waqt Ek Dusre Ka Hanth Apne Hanth Me Lete Hai To Allah Tala Unki Dua Ko Zarur Qubul Farmate Hai Aur Unke Hatho Ko Juda Hine Se Pahle Unki
Magfirat Karte Hain…
[Musnad Ahmad, Jild 17, Safa 338]

Note: Iss Hadis Sharif Me “ﺍﻳﺪﻱ” Ka Jo Lafz Aaya Hai Jo “ﻳﺪ” Ki Jama Hai Aur Jama Ka Istemal kam Se Kam 3
par Hota Hai lehaza Sabit Huwa Ke 2. 2 Hathi Se Musafa Hota Hai…

DALEEL NO. 5

Ek Hath Se Musafah Karna Yahood, Nasara Aur Eesaiyon Ke Addat Hai Aur Rasoolullah Salallahu Alaihi Wasallam Ne Inki Mukhalifat Ka Huqam Diya Hai..
[Sahih Bukhari Kitabal Libaas]



Chunanche Angrezz Aur Yahoodo Ki Musafah Ke Tareeqe Ek Hath Se Karte Hain Aur Ham Musalman Dono Hatho Se Musafah Karke Unki Mukhalifat Aur Sahih Bukhari Wagairah Ki Ahadees Par Amal Karte Hain..



♥ SALAF KA MASLAAK BHI DONO HATHO SE MUSAFAH KARNA SUNNAT THA..

1. Imam Bukhari رحمة الله عليهimahullah Ka Bhi Maslak Dono Hatho Se Musafah Ke Qail The Isliye Unhone Apne Jami Bukhari Me ﺑﺎﺏ ﺍﻷَﺧْﺬِ ﺑِﺎﻟْﻴَﺪَﻳْﻦ )Dono Hatho Se Musafah) Ka Baab Bandha Yeh Iss Baat Ki Dalil Hai Ke Unke Nazdeek Musafah Dono Hatho Se Karna Sunnat-E-Muhammadi Hai…
[Sahih Bukhari, Baab-ﺑﺎﺏ ﺍﻷَﺧْﺬِ ﺑِﺎﻟْﻴَﺪَﻳْﻦ Dono Hatho Se Musafah, Kitabal Isteizan ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻻﺳﺘﺌﺬﺍﻥ]

2.Shaikh Shihabudeen Ahmad Efendi Likhte Hain-“Musafah Dono Hathon Se Karna Sunnat Hai”
[Majaalisul Abrar, Safa: 298]

3. Dr. Wahba Az Zuhaili Likhte Hain-“Musafah Ki Sunnat Dono Hatho Se Hai”
[Al Fiqhul Islami Wa Adillatihi, Jild 4, Safa 2660]

4.Allama Abdul Hai Al-Lakhnawi  Likhte Hain-“Fuqaha Ikram Ka Yeh Maslak Hai Ke Musafah Dono Hathon Se Karna Sunnat Hai…
[Majmoo’atul Fatawa Lil Abdul Hai Lakhnawi, Safa: 117]

5.ﻭﺍﻋﻠﻢ ﺃﻥ ﻛﻤﺎﻝَ ﺍﻟﺴﻨﺔ ﻓﻴﻬﺎ ﺃﻥ ﺗﻜﻮﻥَ ﺑﺎﻟﻴﺪﻳﻦ، ﻭﻳﺘﺄﺩَّﻯ ﺃﺻﻞُ ﺍﻟﺴﻨﺔ ﻣﻦ ﻳﺪٍ ﻭﺍﺣﺪﺓٍ ﺃﻳﻀًﺎ.

Tarjumah: “Allama Anwar Shah Kashmiri Likhtey Hain Ke (Musafah) Ki Muqamal Sunnat Dono Hathon Se Karna Hai, Lekin Musafah Me Sunnat Ek Hath Se Bhi Kiya Jasakta Hai(Adhuri Tarah)
[Faizul Baari Ala Sahih Bukhari, Jild: 6, Safa: 204, Ilmiyah]

6. Allama Shami Hanafi رحمة الله عليه Likhte Hain-“Musafah Dono Hathon Se Karna Sunnat Hai…”
[Fatawa Shami, Jild: 5, Safa: 336]

Comments

Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|